Uttar Pradesh: Mahila doctor ne BJP jila mantri par lagae gambhir aarop, jaanch shuru
Uttar Pradesh ke Bijnor jile ke Chandpur thana kshetra mein ek mahila doctor ne Bharatiya Janata Party ke jila mantri Prabhat Yadav par gambhir aarop lagae hain. Mahila doctor ka aarop hai ki BJP neeta ne unhe dhokhe se nasheela padarth de diya aur ashleel photo aur video bana liye. Iske baad unhe viral karne ki dhamki dekar paise maange gae aur maanaseek pratadna di gayi.
Mahila doctor ka kehna hai ki unke pati ki varsh 2025 mein mrityu ho gayi thi. Pati ki maut ke baad Raunia gaon nivasi BJP neeta Prabhat Yadav apni patni ke saath mareejon ko lekar unke aspatal aane-jaane lage. Isi dauran donon parivar ke beech jaan-pahchan badhi aur aaropi ka ghar par aana-jaana bhi shuru ho gaya. Khane-pine ki cheez mein nasheela padarth milaya gaya aur mahila doctor ko behosh kar diya gaya. Behoshi ki halat mein unki ashleel photo aur video bana li gayi.
Mahila doctor ne police ko di shikayat mein bataya ki unhone poori ghatna ki jaankari apne mayke aur sasural paksh ko bhi di hai. Unhone police prashasan se apne aur apne bachchon ki suraksha sunishchit karne ki maang ki hai, taaki ve surakshit tareeke se apna nursing home chala sakein aur bachchon ka palan-paosan kar sakein.
BJP jila mantri Prabhat Yadav ne apne upar lage sabhi aaropon ko niradhaar batate hue kaha hai ki unhe ek shadyantr ke tahat fansaya ja raha hai. Chandpur ke CO Desh Deepak Singh ne bataya ki mahila ki tahreer prapt ho gayi hai aur mukaddama darj kar jaanch prakriya shuru ki ja rahi hai.
Mahila doctor ke is aarop ne Bijnor mein ek bada vivad khada kar diya hai. Logon ka kehna hai ki yadi ye aarop sach hai, to BJP neeta ko turant girftar kiya jana chahiye aur un par karvaai ki jani chahiye.
