Viklang sashaktikaran mein yogdaan dene walon ko milega Rashtriya Samman, jaaniye aavedan prakriya aur antim tithi

मुख्य बातें
- •Saamaajik Nyaya evam Adhikaarita Mantralaya dwara aayojit ‘Rashtriya Puraskar 2026’ ke liye aavedan prakriya shuru.
- •Aavedan ki antim tithi 31 July 2026 nirdhaarit, aavedan online madhyam se sveekaar kiye jaenge.
- •Vibhinn shreniyon mein vyaktigat evam sansthaagat yogdaan ko sammanit kiya jayega, jismein smrti chinh, pramaan patra evam nakad rashi pradhan ki jayegi.
- •Aavedakon ko pichhle teen varshon ke karyaon ka vivaran evam pramaan patra prastut karna aavashyak.
- •Is puraskaar ka mukhya uddeshya viklang vyaktiyon ke prati samajh mein sakaratmak drishtikon viksit karna evam unke kalyaan ke liye kiye ja rahe prayaason ko protsaahit karna hai.
Kendra sarkar dwara viklang vyaktiyon ke sashaktikaran mein mahatvapurn yogdaan dene walon vyaktiyon evam sansthaon ko Rashtriya star par sammanit karne ke liye ‘Rashtriya Puraskar 2026’ ki prakriya shuru ho gayi hai. Saamaajik Nyaya evam Adhikaarita Mantralaya dwara aayojit is puraskaar ke liye aavedan karne ki antim tithi 31 July 2026 nirdhaarit ki gayi hai. Is puraskaar ke madhyam se un logon ko pehchaan milegi jinhone viklangon ke jeevan mein sakaratmak badlav laane ke liye athak prayaas kiye hain.
