Jyotish shastra mein ashubh maane jaane wale ‘Panchak’ ka shubh aarambh 6 June 2026 se, jaaniye kya karen aur kya na karen

मुख्य बातें
- •Panchak kaal har mah mein paanch dino ka ashubh samay hota hai, jismein shubh karya varjit maane jaate hain.
- •June 2026, shanivar shaam 7:03 baj se shuru hokar 11 June 2026, guruvaar subah 8:16 baj tak rahega.
- •Is baar Panchak Mrityu Panchak hai kyonki iska aarambh shanivar se ho raha hai.
- •Panchak kaal mein lakdi ikatttha karna, chhat banvana, shaadi-sagai, naya furniture khareedna aur dakshin disha ki yatra varjit hai.
- •Yadi mrityu Panchak kaal mein hoti hai, to antima sanskaar ke samay paanch putale jalaye jaate hain.
Sanatan dharm mein kisi bhi shubh karya ko karne se pehle muhurat, grah-nakshatra aur tithiyon ka vishesh dhyaan rakha jaata hai. Panchang ke anusaar kuchh vishesh tithiyan aur ghadian aisi hoti hain, jinhein ashubh maana jaata hai. Inhi mein se ek hai ‘Panchak’. Panchak har mah mein paanch dino ka ashubh kaal hota hai, jiske dauraan shubh aur maangalik karya karne se bachne ki salah di jaati hai. Aagami June 2026 mein Panchak kaal 6 June ki shaam 7 bajkar 3 minute se aarambh hoga aur 11 June ki subah 8 bajkar 16 minute par samapt hoga. Is baar Panchak ka aarambh shanivar ko hone ke kaaran ise ‘Mrityu Panchak’ bhi kaha ja raha hai.
