Kendra sarkar ke employees aur pensionbhogiyon ko milega 3% zyada DA, jaane pura calculation

मुख्य बातें
- •April 2026 mein AICPI-IW index badhkar 149.9 anko par pahuncha, jabki March 2026 mein yeh 149.1 anko tha.
- •Mahngai dar bhi 4.27% se badhkar 4.46% ho gayi.
- •DA vruddhi ka antin faisla May aur June 2026 ke aankado ke baad hi liya jaega.
- •DA dar 63% tak pahuncha sakti hai, jisse employees ko 3% atirikt mahngai bhatta milega.
Kendra sarkar ke employees aur pensionbhogiyon ke liye raahat ki khabar hai. Labour Bureau dwara jaari April 2026 ke aankado ke anusaar, mahngai bhatta (DA) mein 3% tak ki vruddhi ho sakti hai. Yeh vruddhi July 2026 se laagu hogi. Haan, antim faisla May aur June 2026 ke aankado ke baad hi liya jaega.
Labour Bureau ke anusaar, April 2026 mein All India Consumer Price Index for Industrial Workers (AICPI-IW) badhkar 149.9 anko par pahuncha, jabki March 2026 mein yeh 149.1 anko tha. Isi avdhi mein mahngai dar bhi 4.27% se badhkar 4.46% ho gayi.
Mahngai bhatta ki calculation mein AICPI-IW index ka mahatvapoorn yogdaan hota hai. Kendra sarkar employees ke DA ki calculation 12 mahino ke average AICPI-IW aankado ke aadhar par karti hai. July 2026 ke DA sanshodhan ke liye July 2025 se June 2026 tak ke aankado ko shamil kiya jaega. Filhaal May 2025 se April 2026 tak ka average AICPI-IW index 147.51 darj kiya gaya hai.
