Parma Ekadashi 2026: Pata karen kab hai Parama Ekadashi, iska mahatva, puja vidhi aur vrata ke niyam

मुख्य बातें
- •Parma Ekadashi 2026 mein 11 June ko rakha jayega.
- •Ekadashi tithi ki shuruaat madhyaraat 12 bajkar 57 minute se hogi aur iska samapan usi din raat ko 10:36 minute par hoga.
- •Vrata rakhne ke baad agle din yani 12 June ko Paran karne ka sabse shubh aur sahi samay subah 05:23 baje se lekar 08:10 baje ke beech rahega.
- •Parma Ekadashi ka vrata sabhi paapon ka naash karne wala aur manushya ko sansarik kashton se mukti dene wala hai.
- •Jo vyakti shraddha aur niyampoorvak is vrata ka palan karta hai, use dhan, yash, sukh aur aakhir mein Bhagwan Vishnu ke dhaam ki prapti hoti hai.
Parma Ekadashi Hindu dharm mein ek mahatvapurn tithi hai, jo lagbhag teen saal mein ek baar aane wale adhik Maas ke Krishna Paksh mein aati hai. Yeh vrata Bhagwan Vishnu ko samarpit hai aur iska seedha sambandh Mahabharat kaal aur svayan Bhagwan Shri Krishna se hai. Parma Ekadashi ka mahatva anya Ekadashiyon se adhik mana jata hai, kyonki yeh vrata sabhi paapon ka naash karne wala aur manushya ko sansarik kashton se mukti dene wala hai.
Parma Ekadashi 2026 mein 11 June ko rakha jayega. Drik Panchang ke anusar, Ekadashi tithi ki shuruaat madhyaraat 12 bajkar 57 minute se hogi aur iska samapan usi din raat ko 10:36 minute par hoga. Vrata rakhne ke baad agle din yani 12 June ko Paran karne ka sabse shubh aur sahi samay subah 05:23 baje se lekar 08:10 baje ke beech rahega. Is din zaruratmand logon ko ann, vastra aur dakshina ka daan karna shubh mana gaya hai.
