Jyotish mein behad shubh samyog: Shukra ka kark rashi mein pravesh, jaaniye kab se kab tak rahega prabhav, kin rashi walon ko milega labh

मुख्य बातें
- •जून 2026 को शाम 5 बजकर 47 मिनट पर शुक्र देव कर्क राशि में प्रवेश करेंगे और 3 जुलाई 2026 तक इसी राशि में रहेंगे।
- •गोचर के दौरान प्रीति योग का शुभ संयोग बन रहा है, जो विवाह, खरीदारी तथा नए कार्य के लिए शुभ माना जाता है।
- •वृषभ राशि वालों को आर्थिक मजबूती तथा आय के नए स्रोत मिलने की संभावना है।
- •कर्क राशि वालों का आत्मविश्वास बढ़ेगा तथा करियर में नई शुरुआत के लिए समय अनुकूल रहेगा।
- •मीन राशि वालों को रचनात्मकता तथा धन लाभ के योग बन सकते हैं।
Jyotish shastra mein grahon ke rashi parivartan ko atyant mahatvapurn mana jata hai. Jab bhi koi shubh grah apni sthiti badalta hai, uska prabhav maanav jeevan ke saath-saath desh-duniya par bhi padta hai. Isi kirti mein ‘sukh, vaibhav, aishwarya aur prem ke karak’ kahe jane wale Shukra dev jaldi hi apni rashi badalne jaa rahe hain. Aagami 8 June 2026 ko Shukra dev chandra ki rashi kark mein pravesh karenge. Is gochar ke dauran aakash mandal mein ek atyant shubh samyog ka nirman ho raha hai, jise ‘Preeti Yog’ ke naam se jaana jata hai. Jyotishvidon ka maanana hai ki ye gochar vishesh roop se Vrushabh, Kark aur Meen rashi walon ke liye bhagy ke dwaar kholne wala sabit hoga.
