Uttar Pradesh ke Sambhal mein bakre nahi bikne se vyapaari pareshaan

मुख्य बातें
- •Sambhal mein Eid se pehle mehengai ki maar se vyapaari pareshaan.
- •Mandi mein bade aur acche nasl ke bakre maujud lekin keematain graahakon ki pahunch se baahar.
- •Bakron ki keematain 25 se 50 hazaar tak hain, lekin graahak 15 se 20 hazaar se zyada dene ko taiyaar nahi hain.
- •Vyapaariyon ka kehna hai ki bakron ko taiyaar karne mein kaafi lagat aayi hai, lekin maujuda halat mein lagat nikaalna bhi mushkil ho gaya hai.
Uttar Pradesh ke Sambhal mein Eid se pehle mehengai ki maar se vyapaari pareshaan hain. Mandi mein bhaari-bharakm bakre toh hain, lekin khareedaar nazar nahi aa rahe hain. Halat aise ho gaye hain ki 50 hazaar ka bakra 30 hazaar mein bhi nahi beche ja raha hai. Pashu vyapaari market ke is rawayye se kaafi hataash-pareshaan nazar aa rahe hain.
Sambhal jile ke Hayatnagar thana kshetra ke Sarayatrin ilaake mein Rama Talkies ke paas lagi mandi mein is baar bade aur acche nasl ke bakre toh maujud hain, lekin unki keematain graahakon ki pahunch se baahar ho gayi hain. Pashu vyapaariyon ka kehna hai ki is baar bakron ki demand Delhi, Mumbai aur doosre rajyon mein zyada rahi, jiski vajah se acche rates ke laalach mein kaee vyapaari baahar chale gaye. Yahan jo bakre bache hain, unki keematain 25 se 50 hazaar tak batai ja rahi hain.
