Delhi aur Uttar Bharat mein agle 4 din barish ka alert; jano kahan-kahan hogi heavy barish

मुख्य बातें
- •दिल्ली समेत उत्तर भारत में अगले चार दिन बारिश और आंधी का येलो अलर्ट जारी
- •आईएमडी ने बताया कि पश्चिमी विक्षोभ के कारण तापमान में गिरावट आई है
- •उत्तराखंड, पंजाब, हरियाणा, यूपी, बिहार, मध्य प्रदेश, राजस्थान और पूर्वोत्तर राज्यों में भी बारिश की संभावना
- •मानसून अगले चार से पांच दिनों में अरब सागर, लक्षद्वीप, केरल, तमिलनाडु और बंगाल की खाड़ी में आगे बढ़ेगा
Desh ki rajdhani Delhi aur Uttar Bharat ke kai rajyaon mein aaj se agle 4 din tak barish aur aandhi chalne ka alert jari kiya gaya hai. Bhartiya Mausam Vibhag (IMD) ne Delhi aur aaspas ke ilaakon ke liye Yellow Alert jari karte hue agle 4 din tak barish ki sambhavna batayi hai. Mausam Vibhag ke anusaar, pashchimi vikshobh ke karan taapmaan mein giraavat aayi hai, jisse logon ko bheeshan garmi aur heatwave se raahat mil rahi hai. Delhi mein aaj adhiktam taapmaan 36 degree Celsius aur nimn taapmaan 25 degree Celsius rehne ka anuman hai.
IMD ne Delhi ke liye aaj aur kal Yellow Alert jari kiya hai. Iske tahat dopahar ke samay barish, bijli kadakne aur 50 km/hr ki raftaar se tez hawa chalne ki aashanka hai. Iske alawa, Uttarakhand, Punjab, Haryana, Uttar Pradesh aur Rajasthan mein bhi garaj-chamak ke saath barish aur tez hawaon ke chalne ki sambhavna hai.
